10:25 AM

Tayyun Meri Simt ka Mumkin nahy.

Is simt pe nikal para houn aur nahy koi meray saath hay,
Bas kuch yaadien hai dhundli si,
Meray baazo aur do haath hain.

Kaha tha kisi ne bht durr aa niklay ho ~Iztraab!
Yeh Raasta kathin hai thak jaugay,
Kehdya menay bhy un say meray Azzaim bhy bebaak hain.

Chalna tha jin k sahaaray chorr gaye woh sab,
Muqaddar lagne laga tha aisa,
Ik taraf hai Jungle meri zindage me doosri taraf kaali raat hain.

Rangeein roshniyoun mein palla barha mein,
Log samjhay bhalla kaisay uthayega yeh itna boujh?
Aadhay raastay hy ulte paoun laut ayega!

Ibhaam na rehnay diya mene bhi,
Kehdya un se "Teigh o tawwakal meray paas hain."

-Sr

0 comments: