8:09 PM

Lost in Love.

Mausam ki masti may mein mast hogya,
Itna dobaa mein tujh may bas, past hogaya,
Assal me naqal ka farmaan nahi tha lekin.
Khoya itna tujh mein k Sarmast hogaya.

So engrossed I have been,
in the enticing company of yours.
And drowned so deep in the sea of your love,
my identity is nowhere.
The true ordainment doesn't say to copy you,
But, I am a lost mystic, I cant think beyond you.

-Sr

8:09 PM

Nam ka hai tu Musalmaan?

Kahan gaye Umar? Kahan gae Sift-e-Ali?
Mehaz takkbbur ne tujhay buht ouncha kardya hai ae Insaan.
Tu kiun bhool gaya hai apni pehchaan?
Khaak hai teri assal pehchaan.
Nafs-e-Ammara k ishaoriun par.
Teri agli nazar hai sitaraoun par.
Bus naam hy reh gaya hai Musalmaan.
Aur naam ka reh gaya hai tu Musalmaan.

-Sr

8:08 PM

Quote

Man is corrupted by the desires that breathe within him.

-Sr

8:07 PM

Iquilab ka Junoon.

Junoon kuch aisa barpaa kar ~Iztraab k yeh sham badal jaye,
Umeid badal jaye, eimaan badal jaye,
Sehmay huey dil ki awaaz badal jaye,
Yeh Raaz badal jaye, humraaz badal jaye,

Tadrees-o-Ilm ka alam bulnd ho phr aisa,
Har Kiun ka Javaab, badal jaye,
Mehkoom badal jaye, makhdoom badal jaye,

-Sr

8:06 PM

Youm-e-Takbeer.

Rasoom-e-Sakhwat se khub waqif hai paros mera,
Gar othien mailiy nigaahien, dushman ki mujh pe ~Iztraab!
Bar-e-Sagheer me gounjay ge TAKBEER ki awaaz.

-Sr

8:05 PM

Maut toh aani hai..

Marna hai Zaroori!
Phr kiun hai itni Mout se doori?
Roota hua aya tha; Rulaatay huay jaounga;
Mein Nishaan-e-Haidar apnay seenay pe sajja k Jaunga.

-Sr

Salute to the Defenders of the borders and the martyrs of Mehran.