3:55 AM

Khuda ki hikmat!

Izhaar-e-Tashakkur kya kijeyey us Devi ka?
Woh tu khud matti ki moorat hai.

Asal khudai tu Khuda mein hai.
Jis ki har shabih zahoor-e-hikmat hai.

-Sr

3:54 AM

Agar Na Ho Bechainy

Log kehte hain  ~Iztaraab "buhat bechain hai tu!"
Kehdo logoun say!
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Samandar ki kaai mein.
Har fiqr ki aagaahy mein
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Barishoun ki bound mein.
Neind ki har oungh mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Dosti k haath mein.
Chaandni raat mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Gum k andheraiy mein.
Irtiqa k pheairay mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Khushi k safar mein.
Tanhai k ghar mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Bazaaroun k shor mein.
Raastoun k mor mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Kehta hai Salman Mujh se ~Iztaraab!
Keifyat kya hai taari tunay khd par ki hue?
Kaha menay us say "Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini."



-Sr

10:23 AM

Chor na dunyaadaari

Choro na is dunyadaari ko
Chalo na meray saath
Is baar niklenge duur kahyn
Jahan tum aur mein houn saath.

Tordenge un rasmoun ko
Chalo na meray saath
Naye tareekh raqam karenge
Tordenge saaray rivaaj.

Is baar jo chalogay sath tum
na houngay phr kabhi hum door
Chalo na meray saath
Liye haathoun me haath.

-Sr

10:22 AM

Inquilaab tu ajaana!

Mein rahun , na rahun
Inquilaab tu ajaana.

Sounay ki adat hai meri qoum ko,
Tu aakr jaga jaana.
Bas Inquilaab tu ajaana.

Jagenge yeh bhy kabhi hai yaqeen mujh ko,
bas ik kaari zarb laga jana.
Inquilaab tu ajaana.

Asman talay duaein bht kien hain hath utha k,
Ab ki baar bas ajaana.
Inquilaab tu ajaana.

-Sr

10:21 AM

Naya Saal

Phir paida kar Khudi mein woh Fiqr-e-~Iztaraab,
Ek nayye subha ka Sooraj Tera Intizarr Karta Hai.