10:22 AM

Inquilaab tu ajaana!

Mein rahun , na rahun
Inquilaab tu ajaana.

Sounay ki adat hai meri qoum ko,
Tu aakr jaga jaana.
Bas Inquilaab tu ajaana.

Jagenge yeh bhy kabhi hai yaqeen mujh ko,
bas ik kaari zarb laga jana.
Inquilaab tu ajaana.

Asman talay duaein bht kien hain hath utha k,
Ab ki baar bas ajaana.
Inquilaab tu ajaana.

-Sr

0 comments: