3:54 AM

Agar Na Ho Bechainy

Log kehte hain  ~Iztaraab "buhat bechain hai tu!"
Kehdo logoun say!
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Samandar ki kaai mein.
Har fiqr ki aagaahy mein
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Barishoun ki bound mein.
Neind ki har oungh mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Dosti k haath mein.
Chaandni raat mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Gum k andheraiy mein.
Irtiqa k pheairay mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Khushi k safar mein.
Tanhai k ghar mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Bazaaroun k shor mein.
Raastoun k mor mein.
Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini.

Kehta hai Salman Mujh se ~Iztaraab!
Keifyat kya hai taari tunay khd par ki hue?
Kaha menay us say "Zindage be sabab hai meri!
Agar na ho bechaini."



-Sr

0 comments: