4:04 AM

Maa. . .

Terre nazuk hathoun ka zevar,
Mere lye tunay baicha yeh keh kar,
Banounge parha likha k afsar.
Aur nivalaoun ko apney tark kar k,
Mere mu me thunsay woh saray nivalay,
Sardiou me jo nazla zukam hojata.
Mujhey maa ki tasbeeh aur rouna yaad ata.
Girgira k meri aafiat mangty woh *Rab* se.
Na mangty tu khud k lye kuch na mangty.
Garmioun mein jo bhaari mera bastta hota,
Boujh woh sab uthaati, mein mazay se souta.
Jo ratoun ko dar k mein na soo paataa.
Sukoon se apni agosh me mujhko sulaty.
Madhur awaz mein woh lori sunaaty,
Mein be khauf ho k seeenay se lag jata.
Zakhm khel k me lekr ghr ata,
Woh karak awaz me thora dant dapat-ty
Phr lapak mujhe wo seenay se lagaty
Aur un meray dar ka ehsaas kum hota.
Tham leta me us k humesha woh haat
Kehta humesha rahunga tere saath
Magar us ko thy jaldi, tha jaldi usay jaana
Mere ikhtiar me na tha wapis usko lana.
Maa tera ~Iztraab ban gaya ab toh afsar.
Par tere begair is jahan mein,
Na hy chand taray hain asmaan tujh se barh kar.
Teri azmat ko kya karun bayan.
Bas tere begair mujh mein kuch nahi baaqi.

0 comments: