Adhuri baat aur aakhri mulaqat kia kehna donu ka. Ik zindagi ko baichain toh dusri zindagi ko bemaqsad kardeti hai.~Sr
Mein jal rha hun khud teray chehray ki roshni k lye.
-Sr
Rallying through the time. A young writer based in Karachi,describing in his words scenes of his country, his people and his perceptions about living life.
Adhuri baat aur aakhri mulaqat kia kehna donu ka. Ik zindagi ko baichain toh dusri zindagi ko bemaqsad kardeti hai.~Sr
Labels: peace, spiritualism, thoughtfulness
Phir woh galiyan yad dilaty hain mujhe
Kabhi yehi jaga aur khush mizaaj mausam bhi mera rooh e rawan tha
Woh halki barish aur bheeni khushbu
Aur woh hawwaoun ki mehak
Aur usi k saath sooraj ka dhalna
Bemaqsad raatoun ka bemaqsadpan
Raat ko dheemi roshni me kitaboun k warq platna
Baarish ki tip tip aur khirki se jhaankna.
Lazawaal khushi had say zyada.
Shiddat se mehsoos houty ha yeh khushi.
-Sr